Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare : Hello Friends Aaj ki is post me ham aapko yah batane wale hai ki kis trah se aap kisi bhi Image/Photo ka Background Remove kar sakte or us image ko ek transparent image bana sakte hai.

yah sab jaanne ke liye aapko is post ko padhna hoga. Dosto yadi aap kisi Image ka backround remove karna chahte hai to aap apne mobile me yah kaam badi aasani se kar sakte hai.

Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

Is Post ko padhne ke baad aap kya kya kar sakte hai ?

Yadi aap yah post puri padh lete hai to aap yah kaam kar sakte hai-

  1. Yadi aap kis Image background Remove karna chahte hai to kar sakte hai. 
  2. Aap image ko bina Background ke save kar sakte hai. Iska matalb hai aap image ka background transparent bana sakte hai. 
  3. Kisi bhi image ka keval wahi part rakh sakte hai jise aap dikhana chahte hai baki image ke part ko aap remove kar sakte hai. 
  4. Yadi aap is image ka uyog kisi dusri image ke sath karte hai to aapko whan par image ka background show nahi hoga. 

Ye Bhi Padhe-

    Image ka Backgound Remove kaise kare

    Sabse pahle Aap Google Play Store se ek App ko Download karna hai jiska naam hai Background Eraser.

    1. Iske baad is app ko open Karen. Ab aapko yah app kuch is trah se show hoga aapko yhan par Load a Photo par click karna hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Iske baad aap apne mobile se jis Image ka Background Remove karna chahte hai use open kijiye.

    1. Ab aapko kuch is trah se image show hogi aapko yadi image ko crop karna hai to yhan par kar sakte hai.
    2. Iske baad aapko done button par click karna hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Ab aapko yhan par Image ka background remove karna hai iske liye aap dekh sakte hai aapko kuch option show ho ahe hai jinke bare me aapko aage bataya jane wala hai –

    1. Extract-jab aap Extract par click karenge to aapko screen par upar ki side kuch option show honge 
    2. Keep- Yadi aap keep par click karte hai to aap image par jo bhi part show karwana chahte hai us par blue color kar de isse aapki image ka keval wahi part show hoga aap jis par blue color kiya hoga. 
    3. Remove – Remove par click karte hi aap image par red color kar sakte hai or aap jahan par red color karenge image ka wah part remove ho jayega yadi aap background remove karna chahte hai to aap is red color ko keval background par lagaye. 
    4. Unselect – Is par click kar aap Blue or red color ko remove kar sakte hai aap image par jis jagah par bhi unselect show karenge whan se red ya blue color remove ho jayega. 
    5. Zoom – Yadi aap image ko zoom karna chahte hai to aap zoom par click kar sakte hai or image ko pinch zoom kar sakte hai.
    6. Undo – Yhan se aap image me kiye gaye edit par step piche kar sakte hai.
    7. Redu– Yhan se aap Piche kiye gaye Step ko Aage kar sakte hai. Yadi koi galti ho jati hai to iska upyog kar skate hai. 
      Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Auto –

    1. Yadi aap Auto par click karte hai to aapko ek Pointer Show hoga.
    2. Aap image par jhan par bhi pointer ko rakhte hai to image ka wah hisa remove ho jayega. Yadi aapki image ka background ek hi color me hai to tab aap iska sahi use kar sakte hai.
    3. Iske sath sath aap yhan par Threshold of similar color adjust bhi kar sakte hai.
    4. Yhan se aap Redu ya Undo ka upyog bhi kar sakte hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    1. Yadi par aap image me jhan par bhi corser use karenge whan par image transparent ho jayegi.
    2. Yhan par aap Pointer ko dekh sakte hai is pointer ki shayta se aap image ko transparent kare.
    3. Yadi aap pointer ka size kam ya jayda karna chahte hai to yhan se kar sakte hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Repair-

    1. Yadi aapki image par kuch ensa remove ho jaye jise aap remove nahi karna chahte the to aap repair ka upyog kar sakte hai Or aapki image show ho jayegi.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Zoom-

    1. Yadi aap zoom par click karte hai to aap image ko badi aasani se bina nuksan ke zoom kar sakte hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Jab aap image me puri edit kar le to last me aapko upar ki side done button show hoga aapko ise press karna hai.

    1. Iske baad aap aapki image kaise show hogi yah dikhai dega iske sath sath aap dekh sakte hai image ke nich smooth me kuch number sho honge inka upyog aap tabhi kar sakte hai jab aapki image ka border kuch sahi se show na ho rha ho or isse aapki image ki border smooth ho jayegi jisse edit ka pata nahi chal payega.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Iske baad aap save button par click kar de.

    1. Iske baad aap apni image ka preview dekh sakte hai. Or yadi aapko image sahi se edit ki hai to aap finsh button par click karke apni image save kar sakte hai.
    2. Nahi to aap back jaakar apni image edit kar sakte hai.
    Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool

    Aap in sabhi Option ka upyog kar sahi se apni Image ka background remove kar apni image ko transparent bana sakte hai.

    Yadi ye post aapko sahi lagi to please ise Share kare ya aap Comment kar apna view rakh sakte hai hamse jude rahene keliye subscribe kare ya hamara Facebook Page join kare.

    About Anoop Bhatt

    मेरा नाम अनूप भट्ट है और मैं उत्तराखंड (India) से हूँ। इस ब्लॉग पर आपको Blogging, Internet, Website, Technology के आलावा भी अन्य उपयोगी ज्ञान हिंदी में दिया जाता है। अधिक जानने के लिए आप About Us देखे।

    1 thought on “Android Phone Se Photo Background ko Remove Kaise Kare- Best Free Tool”

    Leave a Comment